dard baqi dawa nahin baqi
dard baaqī davā nahīñ baaqī
mujh meñ ab hausla nahīñ baaqī
kashtī-e-zīst Dūbne ko hai
us kā ab nāḳhudā nahīñ baaqī
kaisī haiñ darmiyāñ kī dīvāreñ
varna to fāsla nahīñ baaqī
mahfileñ diid aur mulāqāteñ
hijr ke mā-sivā nahīñ baaqī
rāhzan haiñ sabhī pas-e-parda
ab koī rahnumā nahīñ baaqī
log sab haiñ daġhā kī daldal meñ
kyoñ kisī meñ vafā nahīñ baaqī
dard-o-ġham saare tere hijr meñ the
ab koī āriza nahīñ baaqī
haa.e luuTā hai ik naqab-zan ne
ghar meñ ik boriyā nahīñ baaqī
yaad aa.e 'salīm' ba.ad-az-marg
kahte haiñ sar-phirā nahīñ baaqī
dard baqi dawa nahin baqi
mujh mein ab hausla nahin baqi
kashti-e-zist Dubne ko hai
us ka ab naKHuda nahin baqi
kaisi hain darmiyan ki diwaren
warna to fasla nahin baqi
mahfilen did aur mulaqaten
hijr ke ma-siwa nahin baqi
rahzan hain sabhi pas-e-parda
ab koi rahnuma nahin baqi
log sab hain dagha ki daldal mein
kyon kisi mein wafa nahin baqi
dard-o-gham sare tere hijr mein the
ab koi aariza nahin baqi
hae luTa hai ek naqab-zan ne
ghar mein ek boriya nahin baqi
yaad aae 'salim' baad-az-marg
kahte hain sar-phira nahin baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.