dard baḳhshā gayā hai sahne ko
kaisī duniyā milī hai rahne ko
qāfiya tang hai agarche miyāñ
ashk kaafī haiñ haal kahne ko
itnī achchhī nahīñ hai dar-ba-darī
siina hāzir hai tere rahne ko
hasb-e-sābiq vo kah nahīñ paa.e
ham ga.e the jo baat kahne ko
'najm' qaa.em hai zabt bhī lekin
ashk biphre hue haiñ bahne ko
dard baKHsha gaya hai sahne ko
kaisi duniya mili hai rahne ko
qafiya tang hai agarche miyan
ashk kafi hain haal kahne ko
itni achchhi nahin hai dar-ba-dari
sina hazir hai tere rahne ko
hasb-e-sabiq wo kah nahin pae
hum gae the jo baat kahne ko
'najm' qaem hai zabt bhi lekin
ashk biphre hue hain bahne ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.