dard ban jae jo darman to ghazal hoti hai
dard ban jaa.e jo darmāñ to ġhazal hotī hai
chārāgar bhī lage hairāñ to ġhazal hotī hai
koī bismil jo ho shādāñ to ġhazal hotī hai
koī qātil ho pashemāñ to ġhazal hotī hai
shab ko aane kā yaqīñ puurā dilā kar shab meñ
toḌ Daale koī paimāñ to ġhazal hotī hai
yaas ke ghor añdhere meñ achānak koī
sham' ho jaa.e farozāñ to ġhazal hotī hai
Tiis uThtī hai ġhazal ban ke mire siine se
zaḳhm kartā hai jo ehsāñ to ġhazal hotī hai
zulmat-e-hijr meñ rah rah ke kasak uThne se
ho kaThin raat bhī āsāñ to ġhazal hotī hai
ek chingārī jo mastūr hai mere dil meñ
raat ko kar de daraḳhshāñ to ġhazal hotī hai
phuul khilte haiñ to hotī hai chaman meñ ḳhushbū
dil meñ hotā hai charāġhāñ to ġhazal hotī hai
ālam-e-shauq-e-mulāqāt meñ parvāne se
sham' hotī hai gurezāñ to ġhazal hotī hai
mujh se sargoshiyāñ kartī hai ḳhamoshī shab kī
aur phir uThtā hai tūfāñ to ġhazal hotī hai
aarzū paa.e jo takmīl to hotī hai fanā
ghaT ke rah jaa.e jo armāñ to ġhazal hotī hai
be-karāñ jaur-o-sitam hī nahīñ laate us ko
ho karam bhī jo farāvāñ to ġhazal hotī hai
dard ban jae jo darman to ghazal hoti hai
chaaragar bhi lage hairan to ghazal hoti hai
koi bismil jo ho shadan to ghazal hoti hai
koi qatil ho pasheman to ghazal hoti hai
shab ko aane ka yaqin pura dila kar shab mein
toD Dale koi paiman to ghazal hoti hai
yas ke ghor andhere mein achanak koi
sham' ho jae farozan to ghazal hoti hai
Tis uThti hai ghazal ban ke mere sine se
zaKHm karta hai jo ehsan to ghazal hoti hai
zulmat-e-hijr mein rah rah ke kasak uThne se
ho kaThin raat bhi aasan to ghazal hoti hai
ek chingari jo mastur hai mere dil mein
raat ko kar de daraKHshan to ghazal hoti hai
phul khilte hain to hoti hai chaman mein KHushbu
dil mein hota hai charaghan to ghazal hoti hai
aalam-e-shauq-e-mulaqat mein parwane se
sham' hoti hai gurezan to ghazal hoti hai
mujh se sargoshiyan karti hai KHamoshi shab ki
aur phir uThta hai tufan to ghazal hoti hai
aarzu pae jo takmil to hoti hai fana
ghaT ke rah jae jo arman to ghazal hoti hai
be-karan jaur-o-sitam hi nahin late us ko
ho karam bhi jo farawan to ghazal hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.