dard ban kar bhi dil-o-jaan mein nahin rah pata
dard ban kar bhī dil-o-jāñ meñ nahīñ rah paatā
vo sañvartā hai to imkāñ meñ nahīñ rah paatā
fasl-e-gul jhel ke yuuñ jism darīda to na thā
chaak bhī ab to garebāñ meñ nahīñ rah paatā
hamd kiije bhī to kyā us kī ki hai barq-sifat
do ghaḌī dīda-e-hairāñ meñ nahīñ rah paatā
kuchh to ġhamze bhī haiñ is dushman-e-dīñ ke kāfir
kuchh ye dil bhī hai ki īmāñ meñ nahīñ rah paatā
rozī roTī ke savāloñ meñ ghirā rahtā huuñ
dil meñ jo shaḳhs hai armāñ meñ nahīñ rah paatā
dard ban kar bhi dil-o-jaan mein nahin rah pata
wo sanwarta hai to imkan mein nahin rah pata
fasl-e-gul jhel ke yun jism darida to na tha
chaak bhi ab to gareban mein nahin rah pata
hamd kije bhi to kya us ki ki hai barq-sifat
do ghaDi dida-e-hairan mein nahin rah pata
kuchh to ghamze bhi hain is dushman-e-din ke kafir
kuchh ye dil bhi hai ki iman mein nahin rah pata
rozi roTi ke sawalon mein ghira rahta hun
dil mein jo shaKHs hai arman mein nahin rah pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.