Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard ban ke kabhi gham ban ke satata hi raha

Hairat Farrukhabadi

dard ban ke kabhi gham ban ke satata hi raha

Hairat Farrukhabadi

MORE BYHairat Farrukhabadi

    dard ban ke kabhī ġham ban ke satātā rahā

    apne hone vo ehsās dilātā rahā

    vo ḳharīdār to muddat huī aatā rahā

    maiñ dukāñ hīroñ palkoñ pe sajātā rahā

    haa.e vo us ke judā hone manzar yārab

    vo chalā bhī gayā maiñ haath hilātā rahā

    gahrī tārīkī thī sannāTā thā par ik jugnū

    raushnī mujhe ehsās dilātā rahā

    har nayā daur na.e le ke charāġh aayā kiyā

    ik añdherā magar ziist pe chhātā rahā

    merī bezār tabī.at ko sukūñ mil na sakā

    yuuñ to har roz tirī bazm meñ jaatā rahā

    na samajh paayā ye insān mazāhib ke husūl

    ghar yahāñ bhaa.ī ḳhud bhaa.ī jalātā rahā

    ab ke bādal ko ḳhudā jaane huā kyā aisā

    jab bhī barsā to harī fasl jalātā rahā

    saarā din us ke tasavvur se huā bāteñ

    ḳhvāb ban ke mirī rātoñ ko sajātā rahā

    sher-o-fan us hai mamnūn dabī aahoñ meñ

    apne ġham se mirī ġhazloñ ko sajātā rahā

    vaqt ke saath badal jaatā maiñ lekin har pal

    merā maazī mujhe ā.īna dikhātā rahā

    ek ma.asūm pākīza jazba 'hairat'

    jab bhī bahkā to mujhe raah pe laatā rahā

    dard ban ke kabhi gham ban ke satata hi raha

    apne hone ka wo ehsas dilata hi raha

    wo KHaridar to muddat hui aata hi raha

    main dukan hiron ki palkon pe sajata hi raha

    hae wo us ke juda hone ka manzar yarab

    wo chala bhi gaya main hath hilata hi raha

    gahri tariki thi sannaTa tha par ek jugnu

    raushni ka mujhe ehsas dilata hi raha

    har naya daur nae le ke charagh aaya kiya

    ek andhera sa magar zist pe chhata hi raha

    meri bezar tabiat ko sukun mil na saka

    yun to har roz teri bazm mein jata hi raha

    na samajh paya ye insan mazahib ke husul

    ghar yahan bhai ka KHud bhai jalata hi raha

    ab ke baadal ko KHuda jaane hua kya aisa

    jab bhi barsa to hari fasl jalata hi raha

    sara din us ke tasawwur se hua ki baaten

    KHwab ban ke meri raaton ko sajata hi raha

    sher-o-fan us ka hai mamnun dabi aahon mein

    apne gham se meri ghazlon ko sajata hi raha

    waqt ke sath badal jata main lekin har pal

    mera mazi mujhe aaina dikhata hi raha

    ek masum sa pakiza sa jazba 'hairat'

    jab bhi bahka to mujhe rah pe lata hi raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now