dard betab hai alfaz mein Dhalne ke liye
dard betāb hai alfāz meñ Dhalne ke liye
rāsta chāhiye sab ko hī nikalne ke liye
ḳhatm ho jaatā hai sab kuchh kabhī ik lamhe meñ
aur ik lamha hī kaafī hai sambhalne ke liye
aisī bārish kī zamīñ ġharq huī jaatī hai
abr kuchh vaqt to de detā sambhalne ke liye
maiñ diyā huuñ merī fitrat hai ujālā karnā
vo samajhte haiñ ki majbūr huuñ jalne ke liye
raat ke saath jalā kartī huuñ lamha lamha
chāñd kā nuur 'sabā' chehre pe malne ke liye
dard betab hai alfaz mein Dhalne ke liye
rasta chahiye sab ko hi nikalne ke liye
KHatm ho jata hai sab kuchh kabhi ek lamhe mein
aur ek lamha hi kafi hai sambhalne ke liye
aisi barish ki zamin gharq hui jati hai
abr kuchh waqt to de deta sambhalne ke liye
main diya hun meri fitrat hai ujala karna
wo samajhte hain ki majbur hun jalne ke liye
raat ke sath jala karti hun lamha lamha
chand ka nur 'saba' chehre pe malne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.