dard bhi ho ziyaada to kam-kam lage
dard bhī ho ziyāda to kam-kam lage
tū namak bhī lagā.e to marham lage
kitnī pyārī mohabbat kī sargam lage
nannhī biTiyā ke paa.el kī chham-chham lage
jab bhī piitā huuñ mujh ko ḳhudā kī qasam
maañ ke hāthoñ kā paanī bhī zamzam lage
jab talak tum mire saath chalte rahe
mujh ko rāhoñ ke kāñTe bhī resham lage
tum agar saath hoñ to ḳhizāñ bhī mujhe
ḳhūbsūrat bahāroñ ka mausam lage
ai zaman kahkashāñ phuul taare qamar
un ke aage mujhe saare maddham lage
dard bhi ho ziyaada to kam-kam lage
tu namak bhi lagae to marham lage
kitni pyari mohabbat ki sargam lage
nannhi biTiya ke pael ki chham-chham lage
jab bhi pita hun mujh ko KHuda ki qasam
man ke hathon ka pani bhi zamzam lage
jab talak tum mere sath chalte rahe
mujh ko rahon ke kanTe bhi resham lage
tum agar sath hon to KHizan bhi mujhe
KHubsurat bahaaron ka mausam lage
ai zaman kahkashan phul tare qamar
un ke aage mujhe sare maddham lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.