dard bhi usne diya ishq ke paigham ke sath
dard bhi usne diya ishq ke paigham ke sath
Habeeb Ahmad Anjum Datiavi
MORE BYHabeeb Ahmad Anjum Datiavi
dard bhī us ne diyā ishq ke paiġhām ke saath
pī liyā zahr-e-halāhal mai-e-gulfām ke saath
lutf jab hai ki masarrat bhī ho ālām ke saath
koī jiinā nahīñ jiinā ho jo ārām ke saath
dāġh-e-dil dāġh-e-jigar hasrat-o-fariyād-o-fuġhāñ
mujh ko tohfe ye mile ishq ke paiġhām ke saath
qurb-e-sāhil mirī kashtī ko Dubone vaalo
zikr aa.egā tumhārā bhī mire naam ke saath
muskurāte hue jo Daal do 'anjum' pe nazar
har balā sar se guzar jā.egī ārām ke saath
dard bhi us ne diya ishq ke paigham ke sath
pi liya zahr-e-halahal mai-e-gulfam ke sath
lutf jab hai ki masarrat bhi ho aalam ke sath
koi jina nahin jina ho jo aaram ke sath
dagh-e-dil dagh-e-jigar hasrat-o-fariyaad-o-fughan
mujh ko tohfe ye mile ishq ke paigham ke sath
qurb-e-sahil meri kashti ko Dubone walo
zikr aaega tumhaara bhi mere nam ke sath
muskuraate hue jo Dal do 'anjum' pe nazar
har bala sar se guzar jaegi aaram ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.