dard dab jae kisi taur na aansu aae
dard dab jaa.e kisī taur na aañsū aa.e
jazba-e-dil pe batā kis tarah qaabū aa.e
tīrgī in ko miTāne pe kamar-basta thī
phir bhī jañgal meñ chamakte hue jugnū aa.e
dil ke sahrā meñ bahut tej kulāñche bharte
shaam hote hī tirī yādoñ ke aahū aa.e
tere ehsās meñ Dūbūñ to mahak jaa.e dimāġh
tujh ko sochūñ to mire jism meñ ḳhushbū aa.e
ai ḳhudā ḳhair salāmat rahe gardan merī
mere kāñdhe pe phir ik shaḳhs ke baazū aa.e
kuchh to ho aisā mire dost ki ye raat kaTe
chain bīmār ke dil ko kisī pahlū aa.e
dard dab jae kisi taur na aansu aae
jazba-e-dil pe bata kis tarah qabu aae
tirgi in ko miTane pe kamar-basta thi
phir bhi jangal mein chamakte hue jugnu aae
dil ke sahra mein bahut tej kulanche bharte
sham hote hi teri yaadon ke aahu aae
tere ehsas mein Dubun to mahak jae dimagh
tujh ko sochun to mere jism mein KHushbu aae
ai KHuda KHair salamat rahe gardan meri
mere kandhe pe phir ek shaKHs ke bazu aae
kuchh to ho aisa mere dost ki ye raat kaTe
chain bimar ke dil ko kisi pahlu aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.