dard degi KHun ke aansu rulaegi mujhe
dard degī ḳhuun ke aañsū rulā.egī mujhe
zindagī tū aur kis had tak satā.egī mujhe
bhuuk se behāl maiñ bhī ek din ho jā.ūñgā
ek din ye bebasī dar dar phirā.egī mujhe
maiñ chalā jā.ūñgā jis din āsmānoñ kī taraf
dekhnā ro ro ke ye duniyā bulā.egī mujhe
ik yahī to baat us kī hai mujhe behad pasand
ruuTh jā.ūñ maiñ to vo aa kar manā.egī mujhe
kuchh dinoñ ke baad maiñ bhī ḳhaak meñ mil jā.ūñgā
kuchh dinoñ ke baad tū bhī bhuul jā.egī mujhe
dard degi KHun ke aansu rulaegi mujhe
zindagi tu aur kis had tak sataegi mujhe
bhuk se behaal main bhi ek din ho jaunga
ek din ye bebasi dar dar phiraegi mujhe
main chala jaunga jis din aasmanon ki taraf
dekhna ro ro ke ye duniya bulaegi mujhe
ek yahi to baat us ki hai mujhe behad pasand
ruTh jaun main to wo aa kar manaegi mujhe
kuchh dinon ke baad main bhi KHak mein mil jaunga
kuchh dinon ke baad tu bhi bhul jaegi mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.