dard dekhen na ab dawa dekhen
dard dekheñ na ab davā dekheñ
marne vāloñ kā hausla dekheñ
kuchh nahīñ ishq meñ ba.iid miyāñ
raushnī chhueñ aur havā dekheñ
jab na dekhā use to kyā dekhā
dekh kar us ko aur kyā dekheñ
jo na dekhā thā vo bhī dekh liyā
ab dikhātā hai kyā ḳhudā dekheñ
ham meñ koī mushābahat bhī hai
aa.iye mil ke aa.ina dekheñ
ye mohabbat to shai hī aisī hai
aap bhī apnā fā.eda dekheñ
maiñ palaT jā.ūñ apne ghar kī taraf
aap bhī apnā rāstā dekheñ
kyā khule un pe ishq jo 'saifī'
shahr se dasht ko judā dekheñ
dard dekhen na ab dawa dekhen
marne walon ka hausla dekhen
kuchh nahin ishq mein baid miyan
raushni chhuen aur hawa dekhen
jab na dekha use to kya dekha
dekh kar us ko aur kya dekhen
jo na dekha tha wo bhi dekh liya
ab dikhata hai kya KHuda dekhen
hum mein koi mushabahat bhi hai
aaiye mil ke aaina dekhen
ye mohabbat to shai hi aisi hai
aap bhi apna faeda dekhen
main palaT jaun apne ghar ki taraf
aap bhi apna rasta dekhen
kya khule un pe ishq jo 'saifi'
shahr se dasht ko juda dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.