dard dene ki intiha rakhna
dard dene kī intihā rakhnā
duur jaate ho rābta rakhnā
vaqt saare bharam bhī gar toḌe
mujh se jaarī ye silsila rakhnā
apne dil ko sanam hamesha tum
merī chāhat se āshnā rakhnā
yaad karnā mirī vafāoñ ko
sāmne jab bhī aa.ina rakhnā
pyaar chāhe mile tumheñ jitnā
dil mohabbat meñ be-navā rakhnā
jaisī 'mūsā' ko tum se chāhat hai
vaisī chāhat sanam sadā rakhnā
dard dene ki intiha rakhna
dur jate ho rabta rakhna
waqt sare bharam bhi gar toDe
mujh se jari ye silsila rakhna
apne dil ko sanam hamesha tum
meri chahat se aashna rakhna
yaad karna meri wafaon ko
samne jab bhi aaina rakhna
pyar chahe mile tumhein jitna
dil mohabbat mein be-nawa rakhna
jaisi 'musa' ko tum se chahat hai
waisi chahat sanam sada rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.