dard denge wo siskiyan denge
dard deñge vo siskiyāñ deñge
ham haiñ kāġhaz vo qaiñchiyāñ deñge
jugnuoñ ne sharāb pī lī hai
ab ye sūraj ko gāliyāñ deñge
aa ga.ī 'ishq pe vo naubat ab
Dākiye terī chiTThiyāñ deñge
mere bīmār zard chehre ko
apne hoñThoñ kī surḳhiyāñ deñge
haañ sunā hai vo phuul jaisī hai
us ko tohfe meñ titliyāñ deñge
aap jo baiThne nahīñ dete
aap ik roz kursiyāñ deñge
dard denge wo siskiyan denge
hum hain kaghaz wo qainchiyan denge
jugnuon ne sharab pi li hai
ab ye suraj ko galiyan denge
aa gai 'ishq pe wo naubat ab
Dakiye teri chiTThiyan denge
mere bimar zard chehre ko
apne honThon ki surKHiyan denge
han suna hai wo phul jaisi hai
us ko tohfe mein titliyan denge
aap jo baiThne nahin dete
aap ek roz kursiyan denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.