dard dil ka siwa nahin hota
dard dil kā sivā nahīñ hotā
ab vo mujh se ḳhafā nahīñ hotā
bhūlnā ab use hai nā-mumkin
saañs se vo judā nahīñ hotā
sirf sochā kiye yahī donoñ
kaash ye fāsla nahīñ hotā
ishq kī vus.ateñ haiñ lā-mahdūd
ishq kā dā.era nahīñ hotā
hai ḳhushī dhuup chhāñv sī lekin
dard dil se judā nahīñ hotā
dard dil ka siwa nahin hota
ab wo mujh se KHafa nahin hota
bhulna ab use hai na-mumkin
sans se wo juda nahin hota
sirf socha kiye yahi donon
kash ye fasla nahin hota
ishq ki wusaten hain la-mahdud
ishq ka daera nahin hota
hai KHushi dhup chhanw si lekin
dard dil se juda nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.