dard dil ka ubhar na jae kahin
dard dil kā ubhar na jaa.e kahīñ
us kī jānib nazar na jaa.e kahīñ
ab tire naam par dhaḌaktā nahīñ
dil-e-nādāñ sudhar na jaa.e kahīñ
un kī āġhosh meñ hai sar merā
ye hasīñ pal guzar na jaa.e kahīñ
chārāgar kuchh 'ilāj kar merā
yaad kā zaḳhm bhar na jaa.e kahīñ
roz-o-shab dil meñ Dar sā rahtā hai
vo mujhe chhoḌ kar na jaa.e kahīñ
ik nazar mujh pe ai masīhā mire
terā bīmār mar na jaa.e kahīñ
shīsha-e-dil na pattharoñ se mil
TuuT kar tū bikhar na jaa.e kahīñ
dard dil ka ubhar na jae kahin
us ki jaanib nazar na jae kahin
ab tere nam par dhaDakta nahin
dil-e-nadan sudhar na jae kahin
un ki aaghosh mein hai sar mera
ye hasin pal guzar na jae kahin
chaaragar kuchh 'ilaj kar mera
yaad ka zaKHm bhar na jae kahin
roz-o-shab dil mein Dar sa rahta hai
wo mujhe chhoD kar na jae kahin
ek nazar mujh pe ai masiha mere
tera bimar mar na jae kahin
shisha-e-dil na pattharon se mil
TuT kar tu bikhar na jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.