dard dil mein hon sun ai yar-e-sitam-gar ki tu
dard dil mein hon sun ai yar-e-sitam-gar ki tu
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
dard dil meñ hoñ sun ai yār-e-sitam-gār ki tū
tū huā chor to phir maiñ huuñ gunahgār ki tū
tū vafādār hai ai yār-e-janā-kār ki tū
maiñ vafādār huuñ ai yār-e-hibā-e-kār ki tū
jām-e-mai kis ke yahāñ haath meñ rahtā hai mudām
maiñ bhalā duḳhtar-e-raz se huuñ giraftār ki tū
tum ho bad-ahd na maiñ maiñ huuñ vafādār ki tum
maiñ ye kahtā huuñ ki tum tum kaho har baar ki tū
mujh ko yuuñ ḳhuuñ meñ Dubo kar ye kahe hai qātil
maiñ banā aaj bhalā ġhairat-e-gulzār ki tū
zaḳhm-e-dil par mere kal nuun chhiḌak kar bole
aaj maiñ huuñ namkīn aur mazedār ki tū
us se pūchhūñ shab-e-vasl meñ maiñ chheḌ ke ye
muñh se apne bhī to kah maiñ huuñ milansār ki tū
mahr-e-tābāñ se ye har saal hai merā dāġh-e-jigar
maiñ huuñ tābinda tirā mahr-e-pur-anvār ki tū
tujh ko kahtā huuñ ki ai barq chamak kar phir aa
dekhūñ afzal hai merī āh-e-sharar-bār ki tū
aur yaarī kā maza luuT dilā ek na ban
tiis din aaTh pahar yaar hai nā-chār ki tū
koh-e-ġham dil pe mere dosh pe tesha tere
kohkan tū hī batā maiñ huuñ girāñ-bār ki tū
shab ko aa kar vo gale se ye chimak kar bole
tujh se pūchhūñ huuñ ki ab maiñ huuñ vafādār ki tū
us se pūchhe hai jo 'ehsān' vafā-pesha kabhī
bevafā kaun hai kahtā hai vo ayyār ki tū
dard dil mein hon sun ai yar-e-sitam-gar ki tu
tu hua chor to phir main hun gunahgar ki tu
tu wafadar hai ai yar-e-jana-kar ki tu
main wafadar hun ai yar-e-hiba-e-kar ki tu
jam-e-mai kis ke yahan hath mein rahta hai mudam
main bhala duKHtar-e-raz se hun giraftar ki tu
tum ho bad-ahd na main main hun wafadar ki tum
main ye kahta hun ki tum tum kaho har bar ki tu
mujh ko yun KHun mein Dubo kar ye kahe hai qatil
main bana aaj bhala ghairat-e-gulzar ki tu
zaKHm-e-dil par mere kal nun chhiDak kar bole
aaj main hun namkin aur mazedar ki tu
us se puchhun shab-e-wasl mein main chheD ke ye
munh se apne bhi to kah main hun milansar ki tu
mahr-e-taban se ye har sal hai mera dagh-e-jigar
main hun tabinda tera mahr-e-pur-anwar ki tu
tujh ko kahta hun ki ai barq chamak kar phir aa
dekhun afzal hai meri aah-e-sharar-bar ki tu
aur yari ka maza luT dila ek na ban
tis din aaTh pahar yar hai na-chaar ki tu
koh-e-gham dil pe mere dosh pe tesha tere
kohkan tu hi bata main hun giran-bar ki tu
shab ko aa kar wo gale se ye chimak kar bole
tujh se puchhun hun ki ab main hun wafadar ki tu
us se puchhe hai jo 'ehsan' wafa-pesha kabhi
bewafa kaun hai kahta hai wo ayyar ki tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.