dard dil se kabhi juda na hua
dard dil se kabhī judā na huā
koī hamdard aap sā na huā
un ke hamrāh thā tamām safar
tai magar phir bhī rāsta na huā
ham bhañvar meñ the Dūbte hī ga.e
nāḳhudā to kabhī ḳhudā na huā
aap kā ġham hai aap se behtar
vo kabhī ham se be-vafā na huā
haiñ sabhī log shahr ke achchhe
ham se baḌh kar koī burā na huā
ham se rūThī rahī 'kiran' lekin
dil to dil se kabhī judā na huā
dard dil se kabhi juda na hua
koi hamdard aap sa na hua
un ke hamrah tha tamam safar
tai magar phir bhi rasta na hua
hum bhanwar mein the Dubte hi gae
naKHuda to kabhi KHuda na hua
aap ka gham hai aap se behtar
wo kabhi hum se be-wafa na hua
hain sabhi log shahr ke achchhe
hum se baDh kar koi bura na hua
hum se ruThi rahi 'kiran' lekin
dil to dil se kabhi juda na hua
- Book : Pehchaan (Pg. 43)
- Author : Kavita Kiran
- Publication : Shiyam Kumar (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.