dard dil se nikal dun kaise
dard dil se nikāl duuñ kaise
bahte dariyā ko Taal duuñ kaise
dostoñ se fareb khaa.e haiñ
tum ko kis kī misāl duuñ kaise
be-zamīroñ ko chārāgar kah kar
apnī jaañ ko vabāl duuñ kaise
hākimoñ ko ḳhudā likhūñ ab maiñ
hukm-e-rab ko maiñ Taal duuñ kaise
mujh ko rab se milā.e rakhtā hai
hijr dil se nikāl duuñ kaise
maiñ huuñ 'irsa' faqīr-e-rāh-e-vafā
ḳhud ko koī jamāl duuñ kaise
dard dil se nikal dun kaise
bahte dariya ko Tal dun kaise
doston se fareb khae hain
tum ko kis ki misal dun kaise
be-zamiron ko chaaragar kah kar
apni jaan ko wabaal dun kaise
hakimon ko KHuda likhun ab main
hukm-e-rab ko main Tal dun kaise
mujh ko rab se milae rakhta hai
hijr dil se nikal dun kaise
main hun 'irsa' faqir-e-rah-e-wafa
KHud ko koi jamal dun kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.