Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard-e-dil aaj bhi hai josh-e-wafa aaj bhi hai

Baqar Mehdi

dard-e-dil aaj bhi hai josh-e-wafa aaj bhi hai

Baqar Mehdi

MORE BYBaqar Mehdi

    dard-e-dil aaj bhī hai josh-e-vafā aaj bhī hai

    zaḳhm khāne mohabbat meñ mazā aaj bhī hai

    garmi-e-ishq nigāhoñ meñ nahīñ hai na sahī

    muskurātī huī āñkhoñ meñ hayā aaj bhī hai

    husn pāband-e-qafas ishq asīr-e-ālām

    zindagī jurm-e-mohabbat sazā aaj bhī hai

    hasrateñ ziist sarmāya banī jaatī haiñ

    sīna-e-ishq pe vo mashq-e-jafā aaj bhī hai

    dāman-e-sabr ke har taar se uThtā hai dhuāñ

    aur har zaḳhm pe hañgāma uThā aaj bhī hai

    apne ālām-o-masā.ib vahī darmāñ hai

    dard had se guzarnā davā aaj bhī hai

    'mīr' o 'ġhālib' ke zamāne se na.e daur talak

    shā.er-e-hind giraftār-e-balā aaj bhī hai

    dard-e-dil aaj bhi hai josh-e-wafa aaj bhi hai

    zaKHm khane ka mohabbat mein maza aaj bhi hai

    garmi-e-ishq nigahon mein nahin hai na sahi

    muskuraati hui aankhon mein haya aaj bhi hai

    husn paband-e-qafas ishq asir-e-alam

    zindagi jurm-e-mohabbat ki saza aaj bhi hai

    hasraten zist ka sarmaya bani jati hain

    sina-e-ishq pe wo mashq-e-jafa aaj bhi hai

    daman-e-sabr ke har tar se uThta hai dhuan

    aur har zaKHm pe hangama uTha aaj bhi hai

    apne aalam-o-masaib ka wahi darman hai

    dard ka had se guzarna hi dawa aaj bhi hai

    'mir' o 'ghaalib' ke zamane se nae daur talak

    shaer-e-hind giraftar-e-bala aaj bhi hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dard-e-dil aaj bhi hai josh-e-wafa aaj bhi hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now