dard-e-dil apna sunana chahiye
dard-e-dil apnā sunānā chāhiye
hañsne vāloñ ko rulānā chāhiye
kū-e-qātil meñ jo honī ho so ho
be-takalluf aanā jaanā chāhiye
teġh-e-abrū ke shahīdoñ ke liye
āḳhirī ḳhil.at shahāna chāhiye
gar qadam rakhnā hai kū-e-yār meñ
zindagī se haath uThānā chāhiye
kyā kahūñ bedardī-e-sayyād-e-ishq
us ke phande meñ na aanā chāhiye
ham jo baiTheñ to kahāñ juz kū-e-dost
koī apnā bhī Thikānā chāhiye
ranj de kar ḳhush nahīñ rahtā koī
kyoñ kisī kā dil dukhānā chāhiye
qissa-e-farhād-o-majnūñ ho jahāñ
kuchh to apnā bhī fasānā chāhiye
dekhnā hai gar bahār-e-bāġh-e-ishq
ḳhuun ke aañsū bahānā chāhiye
yaar ke dar kī hai chhānī jis ne ḳhaak
us ko sar par ḳhaak uḌānā chāhiye
jaag ke kyoñ so ga.e phir ai 'haqīr'
kyā tumheñ har dam jagānā chāhiye
dard-e-dil apna sunana chahiye
hansne walon ko rulana chahiye
ku-e-qatil mein jo honi ho so ho
be-takalluf aana jaana chahiye
tegh-e-abru ke shahidon ke liye
aaKHiri KHilat shahana chahiye
gar qadam rakhna hai ku-e-yar mein
zindagi se hath uThana chahiye
kya kahun bedardi-e-sayyaad-e-ishq
us ke phande mein na aana chahiye
hum jo baiThen to kahan juz ku-e-dost
koi apna bhi Thikana chahiye
ranj de kar KHush nahin rahta koi
kyon kisi ka dil dukhana chahiye
qissa-e-farhad-o-majnun ho jahan
kuchh to apna bhi fasana chahiye
dekhna hai gar bahaar-e-bagh-e-ishq
KHun ke aansu bahana chahiye
yar ke dar ki hai chhani jis ne KHak
us ko sar par KHak uDana chahiye
jag ke kyon so gae phir ai 'haqir'
kya tumhein har dam jagana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.