dard-e-dil dard-e-jigar aaTh-pahar hota hai
dard-e-dil dard-e-jigar aaTh-pahar hota hai
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
dard-e-dil dard-e-jigar āTh-pahar hotā hai
kyā hī majbūr mohabbat meñ bashar hotā hai
bahs donoñ meñ shab-e-hijr paḌī hai dekhūñ
aah meñ yā mire naale meñ asar hotā hai
shab-e-furqat mujhe mar mar ke sahar hotī hai
shaam se haal mirā nau-e-digar hotā hai
vo chale ā.eñge ik roz kaleja thāme
ham dikhā deñge ki nāloñ meñ asar hotā hai
lab-e-rañgīñ kā ḳhayāl aatā hai jis dam dil ko
merī āñkhoñ se ravāñ ḳhūn-e-jigar hotā hai
rāt-din kyā ḳhalish-e-nashtar-e-ġham hai 'mas.ūd'
dard kyoñ dil meñ mire āTh-pahar hotā hai
dard-e-dil dard-e-jigar aaTh-pahar hota hai
kya hi majbur mohabbat mein bashar hota hai
bahs donon mein shab-e-hijr paDi hai dekhun
aah mein ya mere nale mein asar hota hai
shab-e-furqat mujhe mar mar ke sahar hoti hai
sham se haal mera nau-e-digar hota hai
wo chale aaenge ek roz kaleja thame
hum dikha denge ki nalon mein asar hota hai
lab-e-rangin ka KHayal aata hai jis dam dil ko
meri aankhon se rawan KHun-e-jigar hota hai
raat-din kya KHalish-e-nashtar-e-gham hai 'masud'
dard kyon dil mein mere aaTh-pahar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.