dard-e-dil hai na falsafa mere pas
dard-e-dil hai na falsafa mire paas
daal roTī kā mas.ala mire paas
paas mere bhī hai tirī hī du'ā
kaash hotā tirā ḳhudā mire paas
āgahī aa ga.ī to aa hī ga.ī
ab nahīñ koī rāsta mire paas
ek pal ek pal na rok sakā
vaqt merā thā kab mirā mire paas
sust rātoñ meñ jis ne chhoḌā thā
tez bārish meñ aa gayā mire paas
tum parī-zād ho maiñ aadam huuñ
aise be-sudh na baiThnā mire paas
vāqi'a ye hai tū jo aa na sakā
tab se maiñ bhī na aa sakā mire paas
merā ġham bhī hai tere ġham jaisā
hai par is ġham kī intihā mire paas
dard jaalī haiñ ashk naqlī haiñ
ek hai niiñd kī davā mire paas
vaqt kā kyā qusūr vaqt thā vo
tū bhī 'āmir' kahāñ rahā mire paas
dard-e-dil hai na falsafa mere pas
dal roTi ka masala mere pas
pas mere bhi hai teri hi du'a
kash hota tera KHuda mere pas
aagahi aa gai to aa hi gai
ab nahin koi rasta mere pas
ek pal ek pal na rok saka
waqt mera tha kab mera mere pas
sust raaton mein jis ne chhoDa tha
tez barish mein aa gaya mere pas
tum pari-zad ho main aadam hun
aise be-sudh na baiThna mere pas
waqi'a ye hai tu jo aa na saka
tab se main bhi na aa saka mere pas
mera gham bhi hai tere gham jaisa
hai par is gham ki intiha mere pas
dard jali hain ashk naqli hain
ek hai nind ki dawa mere pas
waqt ka kya qusur waqt tha wo
tu bhi 'amir' kahan raha mere pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.