dard-e-dil hi mein nihan hai dard-e-dil ka raaz bhi
dard-e-dil hi mein nihan hai dard-e-dil ka raaz bhi
Kokab Muradabadi
MORE BYKokab Muradabadi
dard-e-dil hī meñ nihāñ hai dard-e-dil kā raaz bhī
saaz hī meñ mustatar hai saaz kī āvāz bhī
ho ga.iiñ raushan mirī āñkheñ zah-e-nūr-e-jamāl
dīdanī hai vo aur us ke husn kā e.ajāz bhī
allah allah vahdat-e-jazbāt-o-kaifiyyāt-e-ishq
ek sūrat meñ huā anjām bhī āġhāz bhī
arsa-e-hastī mujhe kyoñ arsa-e-mahshar na ho
fitna-parvarda bhī aur us kā ḳhirām-e-nāz bhī
ḳhud nigāh-e-shauq kar detī hai ifshā rāz-e-dil
ishq hai kambaḳht apnā aap hī ġhammāz bhī
sunñe vaale kā zarā husn-e-samā.at dekhiye
aa ga.ī pardoñ ke bāhar saaz kī āvāz bhī
kar chuke gor-e-ġharībāñ kī ziyārat kar chuke
dekh liije ab zarā qabr-e-shahīd-e-nāz bhī
ruuh nikle tan se naġhme kaif ke gaatī huī
maiñ dam-e-āḳhir agar sun luuñ tirī āvāz bhī
dīda-e-bedār 'kaukab' faizyāb-e-nūr hai
uTh ga.e ya.anī nigāhoñ se hijāb-e-rāz bhī
dard-e-dil hi mein nihan hai dard-e-dil ka raaz bhi
saz hi mein mustatar hai saz ki aawaz bhi
ho gain raushan meri aankhen zah-e-nur-e-jamal
didani hai wo aur us ke husn ka eajaz bhi
allah allah wahdat-e-jazbaat-o-kaifiyyat-e-ishq
ek surat mein hua anjam bhi aaghaz bhi
arsa-e-hasti mujhe kyon arsa-e-mahshar na ho
fitna-parwarda bhi aur us ka KHiram-e-naz bhi
KHud nigah-e-shauq kar deti hai ifsha raaz-e-dil
ishq hai kambaKHt apna aap hi ghammaz bhi
sunne wale ka zara husn-e-samaat dekhiye
aa gai pardon ke bahar saz ki aawaz bhi
kar chuke gor-e-ghariban ki ziyarat kar chuke
dekh lije ab zara qabr-e-shahid-e-naz bhi
ruh nikle tan se naghme kaif ke gati hui
main dam-e-aKHir agar sun lun teri aawaz bhi
dida-e-bedar 'kaukab' faizyab-e-nur hai
uTh gae yani nigahon se hijab-e-raaz bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.