dard-e-dil kaif-e-alam soz-e-jigar se pahle
dard-e-dil kaif-e-alam soz-e-jigar se pahle
Azmat Abdul Qayyum Khan
MORE BYAzmat Abdul Qayyum Khan
dard-e-dil kaif-e-alam soz-e-jigar se pahle
zindagī kuchh bhī na thī terī nazar se pahle
fikr-e-fardā ġham-e-imroz rivāyāt-e-kuhan
kitnī rāheñ haiñ tirī rāhguzar se pahle
jin ujāloñ ko zamāne kī sahar honā hai
vo guzarte haiñ mirī fikr-o-nazar se pahle
tum kahoge to zabānī bhī sunā.ūñ lekin
hāl-e-dil pūchh to lo dīda-e-tar se pahle
haa.e ye baat ujāloñ ko abhī kyā ma.alūm
raat kis tarah se guzrī hai sahar se pahle
jab bhī ta.amīr-e-nasheman kā ḳhayāl aayā hai
mashvara ham ne kiyā barq-o-sharar se pahle
zindagānī meñ masarrat kī tamannā goyā
vo duā hai jo bhaTaktī hai asar se pahle
na vo taare na vo armāñ na vo dilkash naġhme
kitne fānūs bujhe pichhle pahar se pahle
sach to ye hai ki hameñ bāġh-e-jahāñ meñ azmat
saikḌoñ ḳhaar mile ik gul-e-tar se pahle
dard-e-dil kaif-e-alam soz-e-jigar se pahle
zindagi kuchh bhi na thi teri nazar se pahle
fikr-e-farda gham-e-imroz riwayat-e-kuhan
kitni rahen hain teri rahguzar se pahle
jin ujalon ko zamane ki sahar hona hai
wo guzarte hain meri fikr-o-nazar se pahle
tum kahoge to zabani bhi sunaun lekin
haal-e-dil puchh to lo dida-e-tar se pahle
hae ye baat ujalon ko abhi kya malum
raat kis tarah se guzri hai sahar se pahle
jab bhi tamir-e-nasheman ka KHayal aaya hai
mashwara hum ne kiya barq-o-sharar se pahle
zindagani mein masarrat ki tamanna goya
wo dua hai jo bhaTakti hai asar se pahle
na wo tare na wo arman na wo dilkash naghme
kitne fanus bujhe pichhle pahar se pahle
sach to ye hai ki hamein bagh-e-jahan mein azmat
saikDon KHar mile ek gul-e-tar se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.