dard-e-dil ke sath hai zaKHm-e-jigar kis se kahun
dard-e-dil ke saath hai zaḳhm-e-jigar kis se kahūñ
ban ga.ī hai āshiqī bhī dard-e-sar kis se kahūñ
mar rahā huuñ jā rahā huuñ maut kī āġhosh meñ
uf ḳhudā hotī nahīñ un ko ḳhabar kis se kahūñ
āshiyāñ ahbāb ne chhīnā kiyā be-ghar mujhe
haa.e phir kaaTe haiñ mere bāl-o-par kis se kahūñ
zaḳhm-e-dil meñ phuul haiñ go rang-o-nik.hat kuchh nahīñ
jaise hai jashn-e-charāġhāñ be-sharar kis se kahūñ
pā sukūñ tum ko 'irāqī' aarzū merī rahī
phir rahā huuñ kū-ba-kū maiñ dar-ba-dar kis se kahūñ
dard-e-dil ke sath hai zaKHm-e-jigar kis se kahun
ban gai hai aashiqi bhi dard-e-sar kis se kahun
mar raha hun ja raha hun maut ki aaghosh mein
uf KHuda hoti nahin un ko KHabar kis se kahun
aashiyan ahbab ne chhina kiya be-ghar mujhe
hae phir kaTe hain mere baal-o-par kis se kahun
zaKHm-e-dil mein phul hain go rang-o-nikhat kuchh nahin
jaise hai jashn-e-charaghan be-sharar kis se kahun
pa sukun tum ko 'iraqi' aarzu meri rahi
phir raha hun ku-ba-ku main dar-ba-dar kis se kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.