dard-e-dil ki baqa hai shishe mein
dard-e-dil kī baqā hai shīshe meñ
kyūñki har sāniha hai shīshe meñ
āsmāñ chhup gayā hai shīshe meñ
vaqt phir se thamā hai shīshe meñ
kaun sāġhar meñ raqs kartā hai
kaun utrā huā hai shīshe meñ
aañkh meñ phir koī samundar hai
aañsū rukne lagā hai shīshe meñ
jo kabhī bhuul kar nahīñ aatā
barmalā aa chukā hai shīshe meñ
ek saaya jo saath rahtā thā
terā chehra banā hai shīshe meñ
sehn-e-dil meñ darāḌ aa.egī
baal ab aa chukā hai shīshe meñ
shahr meñ tere bāda-ḳhvāroñ kā
kaam behad chalā hai shīshe meñ
ek utrā hai baam par mere
ek shab bhar jalā hai shīshe meñ
tū nahīñ hai to dard vāloñ ke
dard kā silsila hai shīshe meñ
mere dil se tire taġhāful kā
'umr se vāsta hai shīshe meñ
mere hone se tum se milne tak
har hasīñ vāqi'a hai shīshe meñ
mā'nī utrā jo āsmānoñ se
harf zinda huā hai shīshe meñ
shīshe jaisā badan taḌaptā hai
aur us kī davā hai shīshe meñ
aaj 'nīlam' kī aañkh kyoñ chup hai
kis ne phir aa liyā hai shīshe meñ
dard-e-dil ki baqa hai shishe mein
kyunki har saniha hai shishe mein
aasman chhup gaya hai shishe mein
waqt phir se thama hai shishe mein
kaun saghar mein raqs karta hai
kaun utra hua hai shishe mein
aankh mein phir koi samundar hai
aansu rukne laga hai shishe mein
jo kabhi bhul kar nahin aata
barmala aa chuka hai shishe mein
ek saya jo sath rahta tha
tera chehra bana hai shishe mein
sehn-e-dil mein daraD aaegi
baal ab aa chuka hai shishe mein
shahr mein tere baada-KHwaron ka
kaam behad chala hai shishe mein
ek utra hai baam par mere
ek shab bhar jala hai shishe mein
tu nahin hai to dard walon ke
dard ka silsila hai shishe mein
mere dil se tere taghaful ka
'umr se wasta hai shishe mein
mere hone se tum se milne tak
har hasin waqi'a hai shishe mein
ma'ni utra jo aasmanon se
harf zinda hua hai shishe mein
shishe jaisa badan taDapta hai
aur us ki dawa hai shishe mein
aaj 'nilam' ki aankh kyon chup hai
kis ne phir aa liya hai shishe mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.