dard-e-dil meri aah se puchho
dard-e-dil merī aah se pūchho
sabab us kī nigāh se pūchho
ma.ani-e-be-muravvatī-e-butāñ
us taġhāful-panāh se pūchho
bā.is-e-tīra-baḳhti-e-ālam
us kī zulf-e-siyāh se pūchho
us kī teġh-e-sitam kā sharh o bayāñ
jā kisī be-gunāh se pūchho
us ke mukhḌe kī raushnī kī sifat
mujh se kyā mahr o maah se pūchho
girya o nāla-o-fuġhāñ kyuuñ hai
ye mire dil kī chaah se pūchho
mahzar-e-husn-o-ishq kā qaziya
haq hai shāhid gavāh se pūchho
kyā kaheñ uus kā ghar hai kitnī duur
thak ga.e ham to raah se pūchho
qibla 'hātim' kidhar hai raast batā
jā ke us kaj-kulāh se pūchho
dard-e-dil meri aah se puchho
sabab us ki nigah se puchho
mani-e-be-murawwati-e-butan
us taghaful-panah se puchho
bais-e-tira-baKHti-e-alam
us ki zulf-e-siyah se puchho
us ki tegh-e-sitam ka sharh o bayan
ja kisi be-gunah se puchho
us ke mukhDe ki raushni ki sifat
mujh se kya mahr o mah se puchho
girya o nala-o-fughan kyun hai
ye mere dil ki chah se puchho
mahzar-e-husn-o-ishq ka qaziya
haq hai shahid gawah se puchho
kya kahen us ka ghar hai kitni dur
thak gae hum to rah se puchho
qibla 'hatim' kidhar hai rast bata
ja ke us kaj-kulah se puchho
- Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 270)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.