dard-e-dil paida karen ya dard-e-sar paida karen
dard-e-dil paidā kareñ yā dard-e-sar paidā kareñ
merī bāteñ jaane un par kyā asar paidā kareñ
zindagī un kī hai jo gulshan meñ apne vāste
āshiyāñ bā-vasf-e-sad-barq-o-sharar paidā kareñ
aa.iye ham rahbar-o-rahzan se ho kar be-niyāz
manzil-e-maqsūd tak ḳhud rahguzar paidā kareñ
aa ki phir de kar payām-e-nau mazāq-e-dīd ko
har nazar meñ ek duniyā-e-digar paidā kareñ
khul hī jā.egī haqīqat ālam-e-azdād kī
dīda-e-dil imtiyāz-e-ḳhair-o-shar paidā kareñ
un ko pā kar ḳhud ko kho denā to hai ik aam baat
un ko pā kar ḳhud ko paane kā hunar paidā kareñ
āh-e-be-tāsīr meñ 'tālib' asar aa jā.egā
dard-e-dil paidā kareñ dard-e-jigar paidā kareñ
dard-e-dil paida karen ya dard-e-sar paida karen
meri baaten jaane un par kya asar paida karen
zindagi un ki hai jo gulshan mein apne waste
aashiyan ba-wasf-e-sad-barq-o-sharar paida karen
aaiye hum rahbar-o-rahzan se ho kar be-niyaz
manzil-e-maqsud tak KHud rahguzar paida karen
aa ki phir de kar payam-e-nau mazaq-e-did ko
har nazar mein ek duniya-e-digar paida karen
khul hi jaegi haqiqat aalam-e-azdad ki
dida-e-dil imtiyaz-e-KHair-o-shar paida karen
un ko pa kar KHud ko kho dena to hai ek aam baat
un ko pa kar KHud ko pane ka hunar paida karen
aah-e-be-tasir mein 'talib' asar aa jaega
dard-e-dil paida karen dard-e-jigar paida karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.