dard-e-dil phir siwa kare koi
dard-e-dil phir sivā kare koī
zaḳhm ko kyoñ harā kare koī
vo guloñ se sajī huī chaukhaT
kaash sajda adā kare koī
bahr bhī qāfiya radīf bhī hai
ab ġhazal to kahā kare koī
phir suḳhan ko sañvār deñ chaliye
rahnumā to milā kare koī
zindagī kaT ga.ī añdheroñ meñ
ik diyā phir jalā kare koī
zindagī naam ik qazā kā hai
ghuT ke kab tak jiyā kare koī
ham ko 'shailī' jī ghar bhī jaanā hai
kaash haq meñ du'ā kare koī
dard-e-dil phir siwa kare koi
zaKHm ko kyon hara kare koi
wo gulon se saji hui chaukhaT
kash sajda ada kare koi
bahr bhi qafiya radif bhi hai
ab ghazal to kaha kare koi
phir suKHan ko sanwar den chaliye
rahnuma to mila kare koi
zindagi kaT gai andheron mein
ek diya phir jala kare koi
zindagi nam ek qaza ka hai
ghuT ke kab tak jiya kare koi
hum ko 'shaili' ji ghar bhi jaana hai
kash haq mein du'a kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.