dard-e-dil roen kis ummid pe begane se
dard-e-dil ro.eñ kis ummīd pe begāne se
sub.h hone kī nahīñ yaas is afsāne se
koī itnā bhī nahīñ aap se ġhībat hī kare
kāñTe paḌte haiñ zabāñ meñ mire afsāne se
dast-e-gustāḳh se mumkin nahīñ ārā.ish-e-husn
gesū-e-yār sañvarne ke nahīñ shāne se
dāman-e-bād-e-bahārī hai garebāñ pe nisār
aatī hai bū-e-mohabbat tire dīvāne se
phir vahī kūcha vahī dar vahī saudā vahī sar
khīñch laayā hai ye dil phir mujhe vīrāne se
aaj hī chhūTe jo kal chhuTtā ho ye dair-e-ḳharāb
vahshat-ābād-e-jahāñ kam nahīñ vīrāne se
havas-e-ālam-e-bālā ne kiyā hai dil tañg
ruuh ghabrā ga.ī ab jism ke kāshāne se
apnī parchhā.īñ se dīvānoñ ko nafrat hī rahī
jīte-jī nikle na zindāñ ke siyah-ḳhāne se
husn-e-ma.anī ke jo shaidā haiñ udhar kyā dekheñ
sūrat-e-ābād jahāñ kam nahīñ vīrāne se
jān-e-man ma.arifat us husn kī āsān nahīñ
daad kyā chāhte ho tum kisī begāne se
kaifiyyat se kabhī ḳhālī nahīñ dil mastoñ kā
hū-ba-hū miltā hai saaqī tire paimāne se
sāqiyā dil kī havas miT na sakī piirī meñ
pyaas bujhtī nahīñ TuuTe hue paimāne se
aag meñ kuud paḌā dil kī lagī vo shai hai
ātish-e-shauq ko pūchhe koī parvāne se
aur parde kī mulāqāt karegī andher
sham.a kyuuñ chhuptī hai fānūs meñ parvāne se
nāsehā hai koī aisā ki sambhāle mujh ko
laḌ ga.ī aañkh mirī phir kisī mastāne se
duur se dekhne ke 'yās' gunahgār haiñ bas
āshnā tak na hue lab kabhī paimāne se
jaam labrez huā hai kisī mahjūr kā aaj
bū-e-ḳhūñ aatī hai saaqī tire paimāne se
pahle sargoshiyāñ thiiñ chhā gayā ab sannāTā
bazm meñ sub.h huī 'yās' ke afsāne se
masnad-e-ātish-e-maġhfūr mubārak ho 'yās'
aa.e sannāTe meñ 'ġhālib' tire afsāne se
dard-e-dil roen kis ummid pe begane se
subh hone ki nahin yas is afsane se
koi itna bhi nahin aap se ghibat hi kare
kanTe paDte hain zaban mein mere afsane se
dast-e-gustaKH se mumkin nahin aaraish-e-husn
gesu-e-yar sanwarne ke nahin shane se
daman-e-baad-e-bahaari hai gareban pe nisar
aati hai bu-e-mohabbat tere diwane se
phir wahi kucha wahi dar wahi sauda wahi sar
khinch laya hai ye dil phir mujhe virane se
aaj hi chhuTe jo kal chhuTta ho ye dair-e-KHarab
wahshat-abaad-e-jahan kam nahin virane se
hawas-e-alam-e-baala ne kiya hai dil tang
ruh ghabra gai ab jism ke kashane se
apni parchhain se diwanon ko nafrat hi rahi
jite-ji nikle na zindan ke siyah-KHane se
husn-e-mani ke jo shaida hain udhar kya dekhen
surat-e-abaad jahan kam nahin virane se
jaan-e-man marifat us husn ki aasan nahin
dad kya chahte ho tum kisi begane se
kaifiyyat se kabhi KHali nahin dil maston ka
hu-ba-hu milta hai saqi tere paimane se
saqiya dil ki hawas miT na saki piri mein
pyas bujhti nahin TuTe hue paimane se
aag mein kud paDa dil ki lagi wo shai hai
aatish-e-shauq ko puchhe koi parwane se
aur parde ki mulaqat karegi andher
shama kyun chhupti hai fanus mein parwane se
naseha hai koi aisa ki sambhaale mujh ko
laD gai aankh meri phir kisi mastane se
dur se dekhne ke 'yas' gunahgar hain bas
aashna tak na hue lab kabhi paimane se
jam labrez hua hai kisi mahjur ka aaj
bu-e-KHun aati hai saqi tere paimane se
pahle sargoshiyan thin chha gaya ab sannaTa
bazm mein subh hui 'yas' ke afsane se
masnad-e-atish-e-maghfur mubarak ho 'yas'
aae sannaTe mein 'ghaalib' tere afsane se
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 157)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.