dard-e-dil terī intihā mujh ko
le chalī sū-e-karbalā mujh ko
apnī hastī meñ kho gayā huuñ maiñ
koī dikhlā.e rāsta mujh ko
kyoñ rahūñ baḳht par maiñ afsurda
jo likhā thā vahī milā mujh ko
āb-o-gil aur terā kun maulā
yaad hai apnī ibtidā mujh ko
dard-e-dil teri intiha mujh ko
le chali su-e-karbala mujh ko
apni hasti mein kho gaya hun main
koi dikhlae rasta mujh ko
kyon rahun baKHt par main afsurda
jo likha tha wahi mila mujh ko
aab-o-gil aur tera kun maula
yaad hai apni ibtida mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.