dard-e-dil umr-bhar nahin hota
dard-e-dil umr-bhar nahīñ hotā
ishq tum se agar nahīñ hotā
us se kahiyo ke lauT aa.e vo
mujh se tanhā safar nahīñ hotā
jinkī āñkhoñ meñ ḳhvāb palte haiñ
un kī āñkhoñ meñ Dar nahīñ hotā
ai ġhazal tū agar nahīñ miltī
maiñ jidhar huuñ udhar nahīñ hotā
dard-e-dil umr-bhar nahin hota
ishq tum se agar nahin hota
us se kahiyo ke lauT aae wo
mujh se tanha safar nahin hota
jinki aankhon mein KHwab palte hain
un ki aankhon mein Dar nahin hota
ai ghazal tu agar nahin milti
main jidhar hun udhar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.