dard-e-dil wo hai ki rahat se sarokar nahin
dard-e-dil wo hai ki rahat se sarokar nahin
Jameela Khuda Bakhsh
MORE BYJameela Khuda Bakhsh
dard-e-dil vo hai ki rāhat se sarokār nahīñ
tāqat-e-sabr nahīñ quvvat-e-guftār nahīñ
teġh-e-abrū ko sambhālo maiñ jhukā.ūñ gardan
jaan dene se to jāñ-bāz ko inkār nahīñ
duuñ maiñ kis chiiz se tashbīh tahayyur hai mujhe
sūrat-e-gul to mirā zaḳhm-e-dil-e-zār nahīñ
kaisī mushkil meñ phañsāyā hai mohabbat ne mujhe
baiThnā jabr hai aur tāqat-e-raftār nahīñ
kis liye maiñ dil-e-sad-chāk rakhūñ pahlū meñ
gesū-e-yār ko shāne se sarokār nahīñ
dil vo kis kā hai nahīñ jo tire qadmoñ pe nisār
kaun hai vo jo tirā tālib-e-dīdār nahīñ
dahr-e-fānī meñ pareshān hai saarī ḳhilqat
aisā koī hai jo majmū-e-afkar nahīñ
nāḳhun-e-dasht-e-junūñn dekhiye kyā kartā hai
dāman-o-jeb-o-garebāñ meñ koī taar nahīñ
gar vahāñ jaao 'jamīla' to ye kahnā us se
go maiñ kāhīda huuñ par ishq tirā baar nahīñ
dard-e-dil wo hai ki rahat se sarokar nahin
taqat-e-sabr nahin quwwat-e-guftar nahin
tegh-e-abru ko sambhaalo main jhukaun gardan
jaan dene se to jaan-baz ko inkar nahin
dun main kis chiz se tashbih tahayyur hai mujhe
surat-e-gul to mera zaKHm-e-dil-e-zar nahin
kaisi mushkil mein phansaya hai mohabbat ne mujhe
baiThna jabr hai aur taqat-e-raftar nahin
kis liye main dil-e-sad-chaak rakhun pahlu mein
gesu-e-yar ko shane se sarokar nahin
dil wo kis ka hai nahin jo tere qadmon pe nisar
kaun hai wo jo tera talib-e-didar nahin
dahr-e-fani mein pareshan hai sari KHilqat
aisa koi hai jo majmu-e-afkar nahin
naKHun-e-dasht-e-jununn dekhiye kya karta hai
daman-o-jeb-o-gareban mein koi tar nahin
gar wahan jao 'jamila' to ye kahna us se
go main kahida hun par ishq tera bar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.