dard-e-firāq dard-e-tamannā liye hue
duniyā se jā rahā huuñ maiñ duniyā liye hue
huuñ dil meñ ek terī tamanna liye hue
yā huuñ tamām ishq kī duniyā liye hue
aksar uThā huuñ dost kī mahfil se is tarah
āñkhoñ meñ ashk ashkoñ meñ dariyā liye hue
duniyā meñ rah ke bhī hai vo duniyā se be-niyāz
jo hai tire ḳhayāl kī duniyā liye hue
shān-e-ḳhulūs-e-sajda ke qurbān jā.iye
uTThī jabīñ to naqsh-e-kaf-e-pā liye hue
miltā hai kyā javāb tirī bārgāh se
aaya huuñ lab pe harf-e-tamannā liye hue
sahrā meñ kaT rahī hai agar zindagī to kyā
āñkhoñ meñ hai bahār kā naqsha liye hue
un kā ilaaj kaun kare bas tire sivā
haiñ jitne zaḳhm dil meñ masīhā liye hue
ab jo bhī bazm-e-dost meñ pesh aa.e ai 'kamāl'
jaatā huuñ dil meñ dil kā taqāzā liye hue
dard-e-firaq dard-e-tamanna liye hue
duniya se ja raha hun main duniya liye hue
hun dil mein ek teri tamanna liye hue
ya hun tamam ishq ki duniya liye hue
aksar uTha hun dost ki mahfil se is tarah
aankhon mein ashk ashkon mein dariya liye hue
duniya mein rah ke bhi hai wo duniya se be-niyaz
jo hai tere KHayal ki duniya liye hue
shan-e-KHulus-e-sajda ke qurban jaiye
uTThi jabin to naqsh-e-kaf-e-pa liye hue
milta hai kya jawab teri bargah se
aaya hun lab pe harf-e-tamanna liye hue
sahra mein kaT rahi hai agar zindagi to kya
aankhon mein hai bahaar ka naqsha liye hue
un ka ilaj kaun kare bas tere siwa
hain jitne zaKHm dil mein masiha liye hue
ab jo bhi bazm-e-dost mein pesh aae ai 'kamal'
jata hun dil mein dil ka taqaza liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.