dard-e-gham-e-firaq ka darman na ho saka
dard-e-ġham-e-firāq kā darmāñ na ho sakā
zulmat-kade meñ dil ke charāġhāñ na ho sakā
hosh-o-ḳhirad se daur-e-junūñ kī hudūd meñ
kuchh ehtimām-e-jashn-e-bahārāñ na ho sakā
un kī ḳhushī ke vāste maiñ muskurā diyā
lekin shagufta dil kā gulistāñ na ho sakā
sham-e-hayāt bujhne ko har chand hai magar
afsāna-e-hayāt kā unvāñ na ho sakā
aa.ī bahār aa ke chaman se guzar ga.ī
phir bhī rafū-e-chāk-e-garebāñ na ho sakā
nāseh kī koshisheñ to huiiñ rā.egāñ magar
'aslam' tamām umr musalmāñ na ho sakā
dard-e-gham-e-firaq ka darman na ho saka
zulmat-kade mein dil ke charaghan na ho saka
hosh-o-KHirad se daur-e-junun ki hudud mein
kuchh ehtimam-e-jashn-e-bahaaran na ho saka
un ki KHushi ke waste main muskura diya
lekin shagufta dil ka gulistan na ho saka
sham-e-hayat bujhne ko har chand hai magar
afsana-e-hayat ka unwan na ho saka
aai bahaar aa ke chaman se guzar gai
phir bhi rafu-e-chaak-e-gareban na ho saka
naseh ki koshishen to huin raegan magar
'aslam' tamam umr musalman na ho saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.