dard-e-gham-e-hayat ka anjam kya hua
dard-e-ġham-e-hayāt kā anjām kyā huā
ye pūchhtā hai ab dil-e-nākām kyā huā
ham anjuman meñ jā ke tamāshā bane rahe
sar apne be-niyāzī kā ilzām kyā huā
dāman chhuḌā ke chal diye mere aziiz bhī
maiñ maqsad-e-hayāt meñ nākām kyā huā
ehsās kī ragoñ meñ harārat nahīñ rahī
sāmān is havelī kā nīlām kyā huā
ab mujh se merā haal koī pūchhtā nahīñ
us shoḳh kī nigāh meñ nākām kyā huā
ik bhiiḌ tere naqsh-e-qadam par nikal paḌī
'qaisar' tū rāh-e-zauq meñ badnām kyā huā
dard-e-gham-e-hayat ka anjam kya hua
ye puchhta hai ab dil-e-nakaam kya hua
hum anjuman mein ja ke tamasha bane rahe
sar apne be-niyazi ka ilzam kya hua
daman chhuDa ke chal diye mere aziz bhi
main maqsad-e-hayat mein nakaam kya hua
ehsas ki ragon mein hararat nahin rahi
saman is haweli ka nilam kya hua
ab mujh se mera haal koi puchhta nahin
us shoKH ki nigah mein nakaam kya hua
ek bhiD tere naqsh-e-qadam par nikal paDi
'qaisar' tu rah-e-zauq mein badnam kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.