dard-e-tanhai alag hai shadmani hai alag
dard-e-tanhā.ī alag hai shādmānī hai alag
merā qissa aur hai un kī kahānī hai alag
ek hai mausam ḳhizāñ kā ek hai fasl-e-bahār
daur-e-pīrī hai alag ahd-e-javānī hai alag
jām-e-sahbā meñ kahāñ aisā maza hai sāqiyā
terī āñkhoñ kī sharāb-e-arġhavānī hai alag
hashr meñ pesh-e-ḳhudā khulte haiñ sab aib-o-hunar
duudh kā duudh aur hai paanī kā paanī hai alag
vo hai maidān-e-jazā ye āzmā.ish kī jagah
dār-e-uqbā aur hai duniyā-e-fānī hai alag
hukm kā sikka chalānā mulk meñ hai aur baat
mulk vāloñ ke diloñ par hukmrānī hai alag
dard-e-tanhai alag hai shadmani hai alag
mera qissa aur hai un ki kahani hai alag
ek hai mausam KHizan ka ek hai fasl-e-bahaar
daur-e-piri hai alag ahd-e-jawani hai alag
jam-e-sahba mein kahan aisa maza hai saqiya
teri aankhon ki sharab-e-arghawani hai alag
hashr mein pesh-e-KHuda khulte hain sab aib-o-hunar
dudh ka dudh aur hai pani ka pani hai alag
wo hai maidan-e-jaza ye aazmaish ki jagah
dar-e-uqba aur hai duniya-e-fani hai alag
hukm ka sikka chalana mulk mein hai aur baat
mulk walon ke dilon par hukmrani hai alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.