dard-e-wirasat pa lene se nam nahin chal sakta
dard-virāsat pā lene se naam nahīñ chal saktā
ishq meñ baabā ek janam se kaam nahīñ chal saktā
bahut dinoñ se mujh meñ hai kaifiyyat rone vaalī
dard-e-farāvāñ siine meñ kohrām nahīñ chal saktā
tohmat-e-ishq munāsib hai aur ham par jachtī hai
ham aisoñ par aur koī ilzām nahīñ chal saktā
cham cham karte husn kī tum jo ashrafiyāñ laa.e ho
is mīzān meñ ye duniyāvī daam nahīñ chal saktā
aañkh jhapakne kī mohlat bhī kam miltī hai 'anjum'
faqr meñ koī tan-āsāñ do-gām nahīñ chal saktā
dard-wirasat pa lene se nam nahin chal sakta
ishq mein baba ek janam se kaam nahin chal sakta
bahut dinon se mujh mein hai kaifiyyat rone wali
dard-e-farawan sine mein kohram nahin chal sakta
tohmat-e-ishq munasib hai aur hum par jachti hai
hum aison par aur koi ilzam nahin chal sakta
cham cham karte husn ki tum jo ashrafiyan lae ho
is mizan mein ye duniyawi dam nahin chal sakta
aankh jhapakne ki mohlat bhi kam milti hai 'anjum'
faqr mein koi tan-asan do-gam nahin chal sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.