dard ghaTta bhi nahin hai ki fana ho jae
dard ghaTtā bhī nahīñ hai ki fanā ho jaa.e
aur baḌhtā bhī nahīñ hai ki davā ho jaa.e
hai mujhe 'ilm ki ye ḳhvāb hai par ḳhvāb meñ hī
mere allāh use mujh se vafā ho jaa.e
us kā ehsān hī itnā hai merī sāñsoñ par
ġhair-mumkin hai ki sāñsoñ se adā ho jaa.e
vo kisī roz kare tark-e-ta'alluq ḳhud se
aur usī din se mirā sirf mirā ho jaa.e
laakh achchhā ho to merā jo nahīñ ḳhaak achchhā
is se achchhā hai ki tū sach meñ burā ho jaa.e
vaqt ko kar de qalam ḳhud ko siyāhī kar de
terā sochā huā qismat kā likhā ho jaa.e
mujh ko mā'lūm hai vo shaḳhs merā hai lekin
hai ye lāzim ki ab us ko bhī patā ho jaa.e
dard ghaTta bhi nahin hai ki fana ho jae
aur baDhta bhi nahin hai ki dawa ho jae
hai mujhe 'ilm ki ye KHwab hai par KHwab mein hi
mere allah use mujh se wafa ho jae
us ka ehsan hi itna hai meri sanson par
ghair-mumkin hai ki sanson se ada ho jae
wo kisi roz kare tark-e-ta'alluq KHud se
aur usi din se mera sirf mera ho jae
lakh achchha ho to mera jo nahin KHak achchha
is se achchha hai ki tu sach mein bura ho jae
waqt ko kar de qalam KHud ko siyahi kar de
tera socha hua qismat ka likha ho jae
mujh ko ma'lum hai wo shaKHs mera hai lekin
hai ye lazim ki ab us ko bhi pata ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.