dard had se guzar gaya hoga
dard had se guzar gayā hogā
terā āshiq to mar gayā hogā
chhān kar ḳhaak tere kūche keī
der se apne ghar gayā hogā
terī āvāz us ke andar thī
ḳhāmushī se vo Dar gayā hogā
bojh aahoñ kā aur nāloñ kā
us ke dil se utar gayā hogā
chuum kar haar tere ashkoñ kā
qabr meñ raqs kar gayā hogā
terī aahaT se kaam lete hī
baaġh phūloñ se bhar gayā hogā
be-ḳhudī meñ qarār paatā thā
ḳhair ab to sudhar gayā hogā
naam ab bhī 'murād' zinda hai
ishq meñ de ke sar gayā hogā
dard had se guzar gaya hoga
tera aashiq to mar gaya hoga
chhan kar KHak tere kuche kei
der se apne ghar gaya hoga
teri aawaz us ke andar thi
KHamushi se wo Dar gaya hoga
bojh aahon ka aur nalon ka
us ke dil se utar gaya hoga
chum kar haar tere ashkon ka
qabr mein raqs kar gaya hoga
teri aahaT se kaam lete hi
bagh phulon se bhar gaya hoga
be-KHudi mein qarar pata tha
KHair ab to sudhar gaya hoga
nam ab bhi 'murad' zinda hai
ishq mein de ke sar gaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.