dard had se siwa diya tu ne
dard had se sivā diyā tū ne
merā rutba baḌhā diyā tū ne
dard-o-ġham hī sahī ḳhushī na sahī
mujh ko jo kuchh diyā diyā tū ne
rāhat-afzā lagā mujhe har ġham
dard aisā jagā diyā tū ne
naam de kar ġham-e-mohabbat kā
kyuuñ fasāna banā diyā tū ne
dil meñ aayā to is tarah aayā
dil se sab kuchh bhulā diyā tū ne
jis kī hasrat kalīm rakhte the
mujh ko vo bhī dikhā diyā tū ne
jugnuoñ hī pe thī nazar merī
mujh ko sūraj banā diyā tū ne
dard had se siwa diya tu ne
mera rutba baDha diya tu ne
dard-o-gham hi sahi KHushi na sahi
mujh ko jo kuchh diya diya tu ne
rahat-afza laga mujhe har gham
dard aisa jaga diya tu ne
nam de kar gham-e-mohabbat ka
kyun fasana bana diya tu ne
dil mein aaya to is tarah aaya
dil se sab kuchh bhula diya tu ne
jis ki hasrat kalim rakhte the
mujh ko wo bhi dikha diya tu ne
jugnuon hi pe thi nazar meri
mujh ko suraj bana diya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.