dard hi deta hai ab wo na dawa deta hai
dard hi deta hai ab wo na dawa deta hai
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
dard hī detā hai ab vo na davā detā hai
haa.e kaisā vo vafāoñ kā sila detā hai
maiñ ne piine ke liye haath baḌhāyā kab thā
apne hāthoñ se koī aa ke pilā detā hai
girne lagte haiñ agar ashk mirī āñkhoñ se
apnā dāman koī chupke se baḌhā detā hai
jis ne ik baar bhī dekhī hai tajallī terī
saare aalam ko vo nazroñ se girā detā hai
un kī ḳhushiyoñ pe hī mauqūf nahīñ apnī ḳhushī
un kā baḳhshā huā har ġham bhī mazā detā hai
aarzū ye hai ki maiñ hosh meñ aa.uuñ na kabhī
apnī hāthoñ se vo dāman kī havā detā hai
kyoñ samajhte ho 'habīb' ashk ko tum mere haqīr
ye mire qalb ke tūfāñ kā patā detā hai
dard hi deta hai ab wo na dawa deta hai
hae kaisa wo wafaon ka sila deta hai
main ne pine ke liye hath baDhaya kab tha
apne hathon se koi aa ke pila deta hai
girne lagte hain agar ashk meri aankhon se
apna daman koi chupke se baDha deta hai
jis ne ek bar bhi dekhi hai tajalli teri
sare aalam ko wo nazron se gira deta hai
un ki KHushiyon pe hi mauquf nahin apni KHushi
un ka baKHsha hua har gham bhi maza deta hai
aarzu ye hai ki main hosh mein aaun na kabhi
apni hathon se wo daman ki hawa deta hai
kyon samajhte ho 'habib' ashk ko tum mere haqir
ye mere qalb ke tufan ka pata deta hai
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 64)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.