dard ho dukh ho to dawa kije
dard ho dukh ho to davā kiije
phaT paḌe āsmāñ to kyā kiije
ik sitam ho to jaan de diije
ho sitam par sitam to kyā kiije
haal sun kar mirā vo yuuñ bole
aur dil dījiye vafā kiije
ishq ko dījiye junūñ meñ faroġh
dard se dard kī davā kiije
raas aa.e na gar kashākash-e-zīst
dil-e-mahzūñ ko mubtalā kiije
ishq meñ qadr-e-ḳhastagī kī umiid
ai 'jigar' hosh kī davā kiije
dard ho dukh ho to dawa kije
phaT paDe aasman to kya kije
ek sitam ho to jaan de dije
ho sitam par sitam to kya kije
haal sun kar mera wo yun bole
aur dil dijiye wafa kije
ishq ko dijiye junun mein farogh
dard se dard ki dawa kije
ras aae na gar kashakash-e-zist
dil-e-mahzun ko mubtala kije
ishq mein qadr-e-KHastagi ki umid
ai 'jigar' hosh ki dawa kije
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 151)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.