dard hota hai to hathon pe uTha leta hai
dard hotā hai to hāthoñ pe uThā letā hai
merī āñkhoñ se vo ashkoñ ko churā letā hai
us ke maqsad ko samajh us kī 'ibārat pe na jā
'ishq to naar ko gulzār banā letā hai
ye adā us kī mujhe duur na hone degī
ruuTh jaatā huuñ to siine se lagā letā hai
ye jo ġhurbat meñ udāsī kā sabab hai mat pūchh
mujh se chhoTā bhī mujhe chaar sunā letā hai
baat kirdār kī kartā hī nahīñ hai koī
log kahte haiñ batā kitnā kamā letā hai
mere purkhoñ kā lagāyā huā ye peḌ 'munīr'
mere bachchoñ ko bhī saa.e meñ biThā letā hai
dard hota hai to hathon pe uTha leta hai
meri aankhon se wo ashkon ko chura leta hai
us ke maqsad ko samajh us ki 'ibarat pe na ja
'ishq to nar ko gulzar bana leta hai
ye ada us ki mujhe dur na hone degi
ruTh jata hun to sine se laga leta hai
ye jo ghurbat mein udasi ka sabab hai mat puchh
mujh se chhoTa bhi mujhe chaar suna leta hai
baat kirdar ki karta hi nahin hai koi
log kahte hain bata kitna kama leta hai
mere purkhon ka lagaya hua ye peD 'munir'
mere bachchon ko bhi sae mein biTha leta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.