dard ek shama-e-tafakkur hai agar samjho to
dard ik sham.a-e-tafakkur hai agar samjho to
fahm insāñ kā tabahhur hai agar samjho to
mīThe boloñ meñ nahīñ mahz tasallī meñ nahīñ
jehd-e-paiham kā tasavvur hai agar samjho to
ye haqīqat ke qalam se likhā afsāna hai
ye hī irfān-e-tafakkur hai agar samjho to
ye ibādat hai tahajjud kī ye hogī maqbūl
josh-e-ummīd se ye pur hai agar samjho to
tesha-e-koh-kanī ātish-e-namrūd hai ye
āzmā.ish kā taqarrur hai agar samjho to
aks is kā nahīñ ā.īna-e-taqdīr meñ haañ
dāvat-e-fikr-o-tadabbur hai agar samjho to
dard ek shama-e-tafakkur hai agar samjho to
fahm insan ka tabahhur hai agar samjho to
miThe bolon mein nahin mahz tasalli mein nahin
jehd-e-paiham ka tasawwur hai agar samjho to
ye haqiqat ke qalam se likha afsana hai
ye hi irfan-e-tafakkur hai agar samjho to
ye ibaadat hai tahajjud ki ye hogi maqbul
josh-e-ummid se ye pur hai agar samjho to
tesha-e-koh-kani aatish-e-namrud hai ye
aazmaish ka taqarrur hai agar samjho to
aks is ka nahin aaina-e-taqdir mein han
dawat-e-fikr-o-tadabbur hai agar samjho to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.