dard jata nazar nahin aata
dard jaatā nazar nahīñ aatā
haal achchhā nazar nahīñ aatā
is ḳharābāt meñ ḳharāb na ho
koī aisā nazar nahīñ aatā
tum se kyā kyā kahūñ mohabbat meñ
mujh ko kyā kyā nazar nahīñ aatā
vahī andhe haiñ aql ke jin ko
aib apnā nazar nahīñ aatā
dil meñ jab tak hai rashk-e-ġhair 'azīz'
koī tanhā nazar nahīñ aatā
dard jata nazar nahin aata
haal achchha nazar nahin aata
is KHarabaat mein KHarab na ho
koi aisa nazar nahin aata
tum se kya kya kahun mohabbat mein
mujh ko kya kya nazar nahin aata
wahi andhe hain aql ke jin ko
aib apna nazar nahin aata
dil mein jab tak hai rashk-e-ghair 'aziz'
koi tanha nazar nahin aata
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 262)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.