dard jab dastan banaunga
dard jab dāstāñ banā.ūñgā
aap ko ham-zabāñ banā.ūñgā
pahle rakkhūñgā is zamīñ pe qadam
phir maiñ ik āsmāñ banā.ūñgā
us ne ḳhat meñ banā.īñ haiñ aañsū
maiñ bhī ab siskiyāñ banā.ūñgā
apne kamre se mashvara kar ke
ḳhāmushī kī zabāñ banā.ūñgā
tere hoñToñ se surḳhiyāñ le kar
dekhnā titliyāñ banā.ūñgā
jis meñ lailā hī majnūñ ho jaa.e
aisī maiñ dāstāñ banā.ūñgā
dard jab dastan banaunga
aap ko ham-zaban banaunga
pahle rakkhunga is zamin pe qadam
phir main ek aasman banaunga
us ne KHat mein banain hain aansu
main bhi ab siskiyan banaunga
apne kamre se mashwara kar ke
KHamushi ki zaban banaunga
tere honTon se surKHiyan le kar
dekhna titliyan banaunga
jis mein laila hi majnun ho jae
aisi main dastan banaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.