Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard jab sher mein Dhal jate hain

Shareef Munawwar

dard jab sher mein Dhal jate hain

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    Interesting Fact

    1977

    dard jab sher meñ Dhal jaate haiñ

    lafz mafhūm badal jaate haiñ

    ghar meñ aate haiñ bahut raat ga.e

    muñh añdhere nikal jaate haiñ

    sab ko ehsās kahāñ hai ki sabhī

    kuchh-na-kuchh roz badal jaate haiñ

    vahī dariyā haiñ ki jin ke raste

    bahr samt nikal jaate haiñ

    sirf sahrā pe ilzām hai kyuuñ

    phuul gulshan meñ bhī jal jaate haiñ

    log chalte haiñ 'munavvar' kis samt

    aur kis samt nikal jaate haiñ

    dard jab sher mein Dhal jate hain

    lafz mafhum badal jate hain

    ghar mein aate hain bahut raat gae

    munh andhere hi nikal jate hain

    sab ko ehsas kahan hai ki sabhi

    kuchh-na-kuchh roz badal jate hain

    wahi dariya hain ki jin ke raste

    bahr ki samt nikal jate hain

    sirf sahra hi pe ilzam hai kyun

    phul gulshan mein bhi jal jate hain

    log chalte hain 'munawwar' kis samt

    aur kis samt nikal jate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now