dard jitne hain wahi bais-e-darman honge
dard jitne haiñ vahī bā.is-e-darmāñ hoñge
chārāgar tere na sharminda-e-ehsāñ hoñge
dekhnā gesū-e-jānāñ bhī pareshāñ hoñge
mausam-e-gul meñ jo ham chāk-garebāñ hoñge
yuuñ tire ishq meñ ham be-sar-o-sāmāñ hoñge
apnī hastī ke tasavvur se gurezāñ hoñge
dāstāñ ġhair kī rangīn banāne vaale
dekhnā mere fasāne ke bhī unvāñ hoñge
na rahegā rah-e-ulfat meñ ḳhudī kā ehsās
talab-e-husn meñ jab be-sar-o-sāmāñ hoñge
hasrat-o-yās ke maare haiñ sabhī to ġhunche
bāġhbāñ ab na chaman meñ gul-e-ḳhandāñ hoñge
yahī ġhamze yahī va.ade yahī andāz-e-vafā
yahī ik roz mirī maut ke sāmāñ hoñge
aaj hañste haiñ jo dīvāngī-e-dil pe mirī
ek din ḳhud bhī vo angusht-ba-dandāñ hoñge
raat jo bazm-e-ḳharābāt meñ mad.hosh hue
mohtasib ham ko yaqīñ hai vo musalmāñ hoñge
shauq-e-takmīl-e-junūñ mujh ko liye jaatā hai
hoñge ab zer-e-qadam jitne bayābāñ hoñge
phir vahī vahshat-e-dil josh meñ aa.ī 'aslam'
phir mire mūnis-o-ġham-ḳhvār pareshāñ hoñge
dard jitne hain wahi bais-e-darman honge
chaaragar tere na sharminda-e-ehsan honge
dekhna gesu-e-jaanan bhi pareshan honge
mausam-e-gul mein jo hum chaak-gareban honge
yun tere ishq mein hum be-sar-o-saman honge
apni hasti ke tasawwur se gurezan honge
dastan ghair ki rangin banane wale
dekhna mere fasane ke bhi unwan honge
na rahega rah-e-ulfat mein KHudi ka ehsas
talab-e-husn mein jab be-sar-o-saman honge
hasrat-o-yas ke mare hain sabhi to ghunche
baghban ab na chaman mein gul-e-KHandan honge
yahi ghamze yahi wade yahi andaz-e-wafa
yahi ek roz meri maut ke saman honge
aaj hanste hain jo diwangi-e-dil pe meri
ek din KHud bhi wo angusht-ba-dandan honge
raat jo bazm-e-KHarabaat mein madhosh hue
mohtasib hum ko yaqin hai wo musalman honge
shauq-e-takmil-e-junun mujh ko liye jata hai
honge ab zer-e-qadam jitne bayaban honge
phir wahi wahshat-e-dil josh mein aai 'aslam'
phir mere munis-o-gham-KHwar pareshan honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.