dard jo dil mein hai chhupana hai
dard jo dil meñ hai chhupānā hai
chashm-e-pur-nam ko āzmānā hai
hasrateñ haiñ dhuāñ dhuāñ har-sū
ḳhvāhishoñ ko magar bachānā hai
apnī palkoñ ko bāñdh kar rakhiye
qīmtī sā yahāñ ḳhazāna hai
āñkhoñ āñkhoñ meñ ho ga.iiñ bāteñ
aur chup-chāp ye zamāna hai
duniyā vāloñ se ham nahīñ Darte
apnī Thokar pe ye zamāna hai
rāste kab badal leñ vo apne
husn vāloñ kā kyā Thikāna hai
'saif' tanhā.iyoñ se Dartā huuñ
be-vafāoñ kā ye zamāna hai
dard jo dil mein hai chhupana hai
chashm-e-pur-nam ko aazmana hai
hasraten hain dhuan dhuan har-su
KHwahishon ko magar bachana hai
apni palkon ko bandh kar rakhiye
qimti sa yahan KHazana hai
aankhon aankhon mein ho gain baaten
aur chup-chap ye zamana hai
duniya walon se hum nahin Darte
apni Thokar pe ye zamana hai
raste kab badal len wo apne
husn walon ka kya Thikana hai
'saif' tanhaiyon se Darta hun
be-wafaon ka ye zamana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.